Ads 468x60px

Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah
Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah
Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah
Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah
Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai

Har Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kiya Baad-e-Muraad Chal Rahi Hai,
Hum Hain Ke Faraib Kha Rahe Hain
Duniya Hai Ke Chaal Chal Rahi Hai,
Yoon Dil Mein Hai Teri Yaad Jaise
Weerane Mein Aag Jal Rahi Hai,
Rukh Pher Liya Hai Jab Se Tune
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai,
Dar Pesh Hai Aaj Bhi Wohi Surat-e-Haal
Jo Soorat-e-Haal Kal Rahi Hai,
Itni Bhi “Faraz” Bad Dili Kiya ?
Sambhlo ! Ke Fizaa Badal Rahi Hai

Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain
Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain
Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain
TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?
Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain
Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?
Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?
So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye

Apna dil ho ya kahuta, aur kya..

Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..

Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge

Jub Bhee Dil Khol Ke Roye Honge
Loog Aaraam Se Soye Honge
Baaz Auqaat Ba Majboori-e-Dil
Hum Tou Kia Aap Bhee Roye Honge
Subha Tak Dast-e-Sabaa Ne Kia Kia
Phool Kaanton Mein Piroye Honge
Wo Safeenay Jinhain Toofan Na Milay
Na-Khudaon Ne Duboyein Honge
Kya Ajab Hai Wo Milay Bhee Hon “Faraz”
Hum Kisi Dehaan Mein Khoye Honge

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein!!

Is Se Pehlay Ke Bewafa Ho Jayein
Kiun Na Ay Dost Ham Judaa Ho Jayein ?
TU Bhee Heeray Se Ban Gaya Patthar
Ham Bhee Kal Jaanay Kia Se Kia Ho Jayein
Hum Bhee Majboorion Ka Uzar Karain
Phir Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein
Ab Ke Gar TU Milay Tou Ham Tujhse
Aisay Liptain Teri Qabaa Ho Jayein
Bandagi Ham Ne Chhod Di Hai “Faraz”
Kia Karain Jub Loog Khuda Ho Jayein

Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga
Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga
Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga
Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga
Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

kOi Un sy kahey

kOi Un sy kahey
k yOun Na Dekha Kara!n KHUDA k |iye...!

'K Barh Gyi Chahat
t0 MuseBat hO jye giii.

Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Aansu`oon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,
Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,
Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,
Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,
Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao

qariib maut kha.Dii hai zaraa Thahar jaao
qazaa se aa.Nkh la.Dii hai zaraa Thahar jaao
thakii thakii sii fazaaye.N bujhe bujhe taare
ba.Dii udaas gha.Dii hai zaraa Thahar jaao
nahii.n ummiid ki ham aaj kii sahar dekhe.n
ye raat ham pe ka.Dii hai zaraa Thahar jaao
abhii na jaao ki taaro.n kaa dil dha.Dakataa hai
tamaam raat pa.Dii hai zaraa Thahar jaao
phir is ke baad kabhii ham na tum ko roke.nge
labo.n pe saa.Ns a.Dii hai zaraa Thahar jaao
dam-e-firaaq me.n jii bhar ke tum ko dekh to luu.N
ye faisale kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaao

Chandni Raat Ko Saher Kehna!!!

Chandni Raat Ko Saher Kehna
Dosto Yoon Nahi, Magar Kehna,
Ab Kahaan Woh Bahaar Phoolon Ki
Gul-e-Nargis Ko Chashm-e-Tar Kehna,
Bujh Chuke Hain MUhabbaton Kay Charagh
In Diyaaron Ko Ab Khandar Kehna,
Raah Mein Lutt Kay Baythne Waalo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna,
Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam Nazar Kehna,
Hum Ko Awaargi Kay Parde Mein
Dil Ki Baaten Edhar Udhar kehna,
Zikar Teraa Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar kehna,
Ab Goya Azaab-e-Jaan Hai “Faraz”
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar kehna.

lazzat mein toot’ta hai badan..

Woh aik raat guzar bhi gayi magar ab tak,
Visaal-e-yaar ki lazzat mein toot’ta hai badan..

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay

Itne Bhi Tou Wo Khafaa Nahi Thay
Jaisay Kubhi Aashna Nahi Thay
Maana Ke Behem Kahan Thay Aisay
Per Yun Bhi Judaa Judaa Nahi Thay
Thi Jitni Bisaat, Ki Parastish
Tum Bhi Tou Koi Khudaa Nahi Thay
Had Hoti Hai Tanz Ki Bhi Aakhir
Ham Tere Nahi Thay, Jaa Nahi Thay
Kis Kis Se Nibhaatay Rafaaqat
Hum Loog Ke Bewafa Nahi Thay
Rukhsat Howa Wo Tou Mein Ne Dekha
Phool Itnay Bhi Khushnuma Nahi Thay
Thay Yun Tou Hum Oski Anjuman Mein
Koi Hamain Dekhta, Nahi Thay
Jab Osko Tha Maan Khud Pe Kia Kia
Tab Ham Bhi “Faraz” Kia Nahi Thay

Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana

Beniyaaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujhse Juda Ho Jana,
Main Bhi Palkon Pe Saja Lunga Lahoo Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjeer-E-Heena Ho Jana,
Khalq Ki Sang-Zani Meri Khaton Ka Sila,
Tum Tou Masoom Ho, Tum Door Zara Ho Jana,
Ab Mere Waaste Tariyaq Hai Ilhaad Ka Zeher,
Tum Kisi Aur Pujaari Ke Khuda Ho Jana

Missing u...

Huaa hai tujh se bicharney ke baad ab maloom,
Ke tu nahin tha, tere sath aik dunyaa thi..

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha,
Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai,
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha,
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log to poochain,
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha,
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha..

fasaaney mangey..

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..

Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere


Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon 

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili!!

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nah!!!

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nah

Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Aur tujh say mila!!!

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..

Bazm yeh phr sa saja lenge..tum aao tau sahi....!

umko hum dil mein basa lenge tum aao tau sahi..

Sari duniya se chupa lenge gein tum aao tau sahi..

Ek wadakaro ab humse na bichro ge kabhi..

Naaz hum saray utha lenge tum aao tau sahi..

Ikhtilaf bhi mit jayen gein rafta rafta..

Jis trha hoga nibha lenge tum aao tau sahi..

Be wafa bhi ho sitamgar bhi..jafa pesha bhi..

Hum khuda tumko bana lenge tum aao tau sahi..

Yu tu har simt nazar uthatay hi tareeki hai..

Pyarr ke deep jalaa lenge tum aao tau sahi..

Dil ki veerano se ghubar k na moo ko morron..

Bazm yeh phr sa saja lenge..tum aao tau sahi....!

uje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhoj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo

Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do

Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

Muje to ab b yaqeen nahi us k dor jAnay ka.Naraz hy?

asmAn k tara aksar puchta ha mujse.
Kia tumhe ab B yaqeen ha us k Lot anay ka!
Or ye dil muskra k kahta ha.
Muje to ab b yaqeen nahi us k dor jAnay ka.Naraz hy?

barsti nahi ankay magar dil udas to ha !!!

Us ko mera hulka sa ehsas to ha
bedard sahi wo mera hamraz to ha
wo aye na aye mery pas lakin
sidat sa muja us ka intzar to ha
abi nahi to kya huwa mil hi janye ga kabi
mery dil ma us sa milnay ki ass to ha
pyar ki gawahi mery anso sa na mang
barsti nahi ankay magar dil udas to ha 

jis din se wo pass nahi , os din se badal chahye hain.......!

Raat k sunatey main hum ne kia kia dhokey khaye hain
Apna he jub Dil dharka to hum samjhey wo Aay hain ,
Band jharokey , soni Galyaan , ya phir Gum k saye hain
Chaand sitare nikley lekin mere liy kia laye hain ,
jis din se tum bichar gaye ye hall hai apni Aankho ka
jasy 2 Badal sawan k Aapas main takraye hain,
Ab to raha na hum se bholo gay tum , Ab to hum se Aa milo
Dekho hum ne palk palk par so so Deep jalaye hain,
Hai kateel is tanhai mn kia sojay hai mosam ko
jis din se wo pass nahi , os din se badal chahye hain.......! 

Aise mein kaha jao gey barsat boht hai

Wo keh kr chala itni mulaqat boht hai
Mein ne kaha ruk jao abhi rat boht hai
Ansoo mere tham jain to phir shoq se jana
Aise mein kaha jao gey barsat boht hai

Wo ansuon ki larri ha kahin sa ajao.

Ajab sham khari hai kahin se ajao,
Bari udas ghari hai kahin se ajao,
Kisi se milna aur mil k bichar jana,
Saza ye itni bari hai kahin se ajao,
Bara kathin hai ye hijr ka mausam,
Juldi bol pari hai kahin se ajao,
Zamana jise samjhta ha moteon ki chamak,
Wo ansuon ki larri ha kahin sa ajao.

Phir bhi ussay dekhne ki aas rehti hay.

Na jane ye nazar kiu udas rehti hay,
Najane issay kis ki talash rehti hay,
Ye jaan kar bhi k wo mery pass nahi hay,
Phir bhi ussay dekhne ki aas rehti hay.

Tum..

Kismat per Aitbar kis ko Hay,
Kowahishon say Inkar kis ko Hay,
Zendagi Main tum He To Ho,
Warna Zendgi Say Pyar kis ko Hay.

kis tarha us k bin apna guzara hoga

Us ki ankho main mohabt sitara hoga
Ek din ayega wo shakhs humara hoga
Jis k hone se meri sans chala kerti hain
kis tarha us k bin apna guzara hoga

Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu me kmal tha

Usay apnay farar k fikar thi
woh jo mera waqef-e-hal tha,
Woh jo us ki subah e urooj thi
wohi mera waqt-e-zawal tha,
Mera dard kaisay janta meri baat kaisay manta?
Woh tu khud fana k safr mein tha,ussay rokna bhi mahal tha,
Kahan jao gay mujay chor kar?
Mein poch poch kar thak gaya,
woh jawab mujh ko day na Saka,
woh khud sarapa sawal tha,
Woh mila tu sadion k bad bhi mery lab pay koi gila na tha,
Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu me kmal tha

Usme aeiga kisi ka naam is lie chup hun...

Zindagi hy nadan is lie chup hun.
Dard hi dard hay subho sham is lie chup hun.
Kehdo zamane se dastan apni.
Usme aeiga kisi ka naam is lie chup hun...

Koi tm say poochy kon hoon mein,

Koi tm say poochy kon hoon mein,
tm keh dena keh khas nhi,
ek dost hy kacha pka sa,
ek jhoot hy aadha sacha sa,
jzbaat ko dhanpy ik prda,
bs ik bahanna acha sa,
jevan ka aisa sathi hy,
jo dur na ho kr pas nahi,
koi tum say poochy kon hoon mein,
tum keh dena kuch khas nahi!!!

Kuch khud b thay afsurda se

Kuch khud b thay afsurda se,
kuch tum b hum se rooth gae, 
kuch khud hi zakhm k aadi thay,
kuch sheeshay hath se chhoot gae,
kuch khud b thay hassaas boht, 
kuch apne muqadr rooth gae, 
kuch usko sach se nafrat thi,
kuch hum se na bolay jhut gae,
kuch talkh haqaiq the itne, 
k khwab hi sare toot gAe.

Sham honay se pehle lot ana,

Sham honay se pehle lot ana,
Kisi k nam honay say pehlay lot ana,
Hum tere intezar mai hain,
Anjan honay say pehlay lot ana,
Subah sham rehti hai teray dedar ki umeed,
Din khatam hone se pehlay lout ana.
Agar na lout pao to bus itna kar dena,
Meri akhri saans khatam hone se pehlay lout ana.........

Jab bhi socha tujhy aankh bhar ayi hai...

Bin tyry ya zindagi dard hai tanhai hai...,,
Meri aankhon mein kiyun mout simat ayi hai...,,
Kehtay hain log ishq ko ibadat yaro...,,
Ebadat mein phir kun itni ruswai hai...,,
Mehfil mein reh kar bhi tanha rehna...,,
Yeh ada tyri mohabbat nay sikhai hai...,,
tujh se taluq hi kuch aisa hai dil ka...,,
Jab bhi socha tujhy aankh bhar ayi hai...

,ab vohi muntazir hai mere d|ob jany ka.

Jsne andaz dia muje muskrany ka,
usey hi shok hai ab mujeshab-o-roz rulane ka,
jo lahron se cheen kr muje laya tha kinare
,ab vohi muntazir hai mere d|ob jany ka.

koe ghum na chupata


Do kadam to sab chal lete hain per zindagi bhar ka saath koe nahi nibhata
Aghar roo kar bhulay jaati yaadein to haans kar koe ghum na chupata

Najane kon si rat akhri hogi

Najane kon si rat akhri hogi
na jane kon si mulakat akhri ho gi
aaj wapat hai karlo jee bhar ke batein
khuda jana kon si saans akhri ho gi

Pr Log Usay Barsat Samajh Lety Ha...

ISHIQ Waly Aankhon Ki Baat Samjh Lety Ha'
Sapno may Mil jay To Mulakat Samjh Lety Ha'
Rota To Aasman B Ha Payar K Liay,
Pr Log Usay Barsat Samajh Lety Ha...

Main udaas rusta hoon sham ka

Main udaas rusta hoon sham ka
Mujhe aahaton ki talaash hai
Yeh sitare hain sab bujhe bujhe
Mujhe jugnuon ki talaash hai
Her khushy hai mujh say khafa khafa
Mujhay zindagi ki talaash hai
Meri piyas main wo talab nahe
Mujhay tishnagy ki talaash hai
Ik hajoom sa hai rawaan dawaan
Mujha doston ki talash hai
Meri zindagi hai bus ik rasta,
Mujha manzilon ki talash hai
Najanay kia hai jo kho gaya,
Mujh shaid apni he talash hai....

Ek Shaks Muj Ko Zakham e Shanasai De Gia..

Ek Shaks Muj Ko Zakham e Shanasai De Gia..
Jub De Saka Na Pyar To Ruswai De Gia..
Jatay Huay Apni Nishani k Tor Per..
Kitne Khaloos Se Muj Ko Tanhai De Gia

bhol gya ho jaisy...

Yon na mil muj sy khafa ho jaisy,
sath chal mooj-e-saba ho jaisy,
log yon daikh kar hans dety hain,
tu mujay bhol gya ho jaisy...

Na tujay chor saktay hain taray ho b nahi sakty

Na tujay chor saktay hain taray ho b nahi sakty 
ye kaisi baybasi hai aj hum row b nahin saktay 
chupa saktay hain or na hum dakha saktay
hain logon ko kuch aisay dagh hain dil pay jo hum dhoh b nahi saktay 
hamara aik hona b nahi mumkin rah ab to jeeain kaisay k tum say door ab ho b nahi sakty

i really Loves U (sweetheart)

Mere QAREEB to aao buhat UDaa$ hon mai.. 
bus aj toot k CHAHO buhat UDaa$ hon main 
kisi b jhoote dilaase se DIL ko behlao, 
koi kahani sunao buhat UDaa$ hon main,,
andheri RaaT hai kuch b nazer nahi aata, 
satare tor k lao buhat UDaa$ hon mai, 
suna hai prem nagar main KHUSHI b milti hai,
Muje yaqeen dilaao buhat UDaa$ hon mai, 
ye sham yunhi guzer jaye gi DaBE Paon,
wafa ka geet gao buhat UDaa$ hon main..

Tu mera hy tera nam koi or na ly.

Tu mera hy tera nam koi or na ly.
In behakti hoi aankhoo ka jam koi or na ly.
Kuch es leay b main ny tera hath na chhora.
Tu gir gia to tujhy tham koi or na ly.

Shaid is jahan ma wafa ka koi sila hi nahi..

Us ko chaha mager wo mila hi nahi.
Laakh koshish ki mager fasla mita hi nahi.
Us ko zamanay nay majboor is kadar kr dia.
K meri kisi sada pr wo thehra hi nahi.
Hr 1 say pucha sabab us k na milnay ka.
Hr 1 na bataya wo teray liay bana hi nahi.
Ma tamam tr koshish k bad har gia
Wo usay mil gaya jis nay usay manga hi nahi.
Itni shiddat say chaha.
Mager wo kisi ka ho gaya.
Shaid is jahan ma wafa ka koi sila hi nahi..

karo gy yaad ek din tum mohabat k fasaney ko.

karo gy yaad ek din tum mohabat k fasaney ko.
chaley jaen gy jis din hum kabhi wapas na aney ko.
kisi mehfil main chairay ga humara zikar jab koi.
chaley jao gy tanhai main tum ansoo bahaney ko.
ghatayen parbaton py jhuk k jab ulfat nibhaen gi.
taras jao gy sawan main humaray pass aney ko

Ki Chaand ki aarzoo kiya karte hai

Nakaam si koshish karte hai, 
Humunse ulfat kiya karte hai.
Taqdir me ek tuta tara nahi likha, 
Aur ek hum hai, 
Ki Chaand ki aarzoo kiya karte hai

Mn b bahar se andar ki trah lagnay lga

door tak sehra samandar ki trah lgne lga,
Dobna b ab mukadar ki trah lgene lga. 
Bas ek aina totne ki der t, 
Mn b bahar se andar ki trah lagnay lga

Qatal hua mere dil ka,

Qatal hua mere dil ka,
Aankhon mein sara jahan aa gaya.... 
Gum is baat ka nahi k qatal hua mere dil ka,
Gum is baat ka ki qatilon me unka naam aa gaya

Mujhe pyar karne ka maza malood hai,

Mujhe pyar karne ka maza malood hai,
mujhe pyar karny ki saza maloom hai,
umar bhar muskurane ki dua mat dena...
Mujhe pal bhar muskurany ki saza maloom hai.

ek zakhm bhara nahi...ki doosra taeyar paya..

jebhar ke roye toh karar paya
is daur mn kisne sacha pyar paya
zindagi guzar rahe ha imtihano ke daur se
ek zakhm bhara nahi...ki doosra taeyar paya..

sath bitaye pal yad atay hain,!!!

Haste haste ansu gir jaty hai jb ap k sath bitaye pal yad atay hain,
kia hua jo aj ap hamary sath nai,hum aj b apni dosti k tarane sabi ko sunaty hai,...

umar bhar k lye wo mujhe hasna he bhula gya...

Hasi hasi main kitno ko hasa dya,
hasi hasi main kitne gamo ko chupa liya,
hasa kar gya koi mujhe is kadar,
umar bhar k lye wo mujhe hasna he bhula gya...

humain to dekhna hai tu bewafa kaha tk hai,

Mat poch mery sabar ki inteha kaha tk hai?
Tu sitam kar lay,teri takat jaha tk hai,
wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
humain to dekhna hai tu bewafa kaha tk hai,

ta k tujh pay koi ilzam na aye,

Jan kar b tum mujhe jan na paye,
aj tk tm mujhay pehchan na paye,
khud ki hai bewafaye hum ne,
ta k tujh pay koi ilzam na aye,

aikin usnay b tarapne k lye zindagi day d...

Meri chahat nay usay khushi day d,
badlay main usnay mujhe sirf khamoshi de d 
khuda se dua mangi marne ki,
laikin usnay b tarapne k lye zindagi day d...

Toot na jye Tuj per Mere Pyaar ki Shiddat

Toot na jye Tuj per Mere Pyaar ki Shiddat
Tu Samandar ki Trah Khamosh na ra ker
Khamoshi b suna deti hai Haal Dil ka
Honto se na sahi,Aankhon se kuj kaha kar

to itni gehraye say dil main samaye na hotay,

Kash wo nagme hame sunaye na hotay,
aj unko sun kar ansu aye na hotay,
agar isi tarha bhol he jana tha,
to itni gehraye say dil main samaye na hotay,

Iss dil ko toh bas teri yaad aati hai

Iss dil ko toh bas teri yaad aati hai
aur iss dil ko udaas kar jati hai
Koi poochta hai tumse pyar kitna hai
kuch nahin keh paate bas aankh bhar aati hai

Roti hui aakhon mn b intezar hota ha

Roti hui aakhon mn b intezar hota ha
Na chahte hue b kyo pyar hota ha
q dekhte ha hum wo sapne
Jinke tutne per b unke Sach hone ka intezar hota ha

khyal rakna ae Khuda vo hi mjse bewafa na ho jye

Dar ha kahi tu mjse juda na hojaye
mri ksi bat pe tu mjse khafa na hojaye
jis k liye ha mri har wafa har Dua
khyal rakna ae Khuda vo hi mjse bewafa na ho jye

Honto se na sahi,Aankhon se kuj kaha kar

Toot na jye Tuj per Mere Pyaar ki Shiddat
Tu Samandar ki Trah Khamosh na ra ker
Khamoshi b suna deti hai Haal Dil ka
Honto se na sahi,Aankhon se kuj kaha kar

Lakh chahte hai magar bola ni jata

Dard jana jata ha bola ni jata
Man ki uljhano ko yun khola ni jata
Bahut kuj aisa b hota hai zindagi mn
Lakh chahte hai magar bola ni jata

likha gaya ta yakenan mera hisaab galat..

ajeb silsila the zindagi ki raton ka
kabi to neend galat t kabi khwab galat
mere gunah se badkar saza mili mujko
likha gaya ta yakenan mera hisaab galat..

marham lagane wale he dard day jaty hain....

Pas a k sabi dur chale jaty hain,
hum akele hai akele he reh jaty hain,
dil ka dard kise dikhaye,jb 
marham lagane wale he dard day jaty hain....

Gar b jalta raha or samandar b kareeb ta..

Dil ka ameer mukadar ka gareeb tha...
Mil kar bichudna mera naseeb tha...
Chah kar b kuj na kar sake hum...
Gar b jalta raha or samandar b kareeb ta..

agar karty bayan to mehfil ko rula dety....

Kahan koi aisa mila jispar duniya luta dety,
har ek ne dhoka diya kis kisko bhula dety,
apne dil ka dard dil main he daba kar rakha hai,
agar karty bayan to mehfil ko rula dety....

abhi soye hain tumhain yad ker k

unhain tu fursat nahi hum se milnay ki or hamara waqt guzerta hai un ki faryad ker k.ager aye wo meri mout pe tu keh daina abhi soye hain tumhain yad ker k

Kya payar mein socha tha kya payar mein paya hai..

1 payar k mujrim se..
Ulfat b karain to kaise karain ?
Tumhe tot k chaha tha...
Nafrat b karain to kaise karain?
Jo par humein karta us ne hi dobaya hai,
Kya payar mein socha tha kya payar mein paya hai..

tum puchte phiro ge apna qsoor humse

hum cheen leinge tum se ye adaa-e-benayazi,
tum mangte phiroge apna ghroor humse,
yun rehte safer mein kr dein ge tumko tanha,
tum puchte phiro ge apna qsoor humse

hmko b zid thi wahin ashiana banane ki

Badalon k darmyan kuch aysi sazish
hoi
mera mitti ka ghar tha
wahien barish hoi
falak ko adat thi jahan bijlian girane ki
hmko b zid thi wahin ashiana banane ki

La kr tanha chor diya kaisy maqam pa

La kr tanha chor diya kaisy maqam par
Aap ny bi dhoka diya majbori k nam par
Ghamon sy tha phly b bohat purana mera hisab
Dil ka dard thora aur barha tere kayam par
Fursat milay jo tujhy in chandani raton say kabhi
Ek nazar idhar bi dal lena kisi ki dobti sham par

Wafa main agar sila hota ...

Wafa main agar sila hota ...
phir na zindgi se humein koi gila hota...
phir na krte chand ki justoju 
bus woh ek shakhas humein mila hota.

Ankhon sy barsaten aisi hoti han

Ankhon sy barsaten aisi hoti han
kabi kabi kuch raatehn aisi hoti han
Kabi kabi hum jeetay jh mer jaatay han
kabi kabi kuch baatein aisi hoti han.

gair b dubneay waly ko bacha lety hain......

Yun apni tabahi ka jashan mana lety hain...
apni palkon pe siaro ko saja lety hain...
tum to apny thy zara hath berh lya hota...
gair b dubneay waly ko bacha lety hain......

Magar apne nasib se dar lagta hai!!!


Na chaho itna hamain chahaton se dar lagta hai,
Na aao itna kareeb ke judai se dar lagta hai,
Tumhari wafaon pe bharosa hai.
Magar apne nasib se dar lagta hai.

Yaad!!


Kya hai woh "YAAD"jo tanhai main aaye...
Yaad tou woh hai jo "MEHFIL"main aaye aur"TANHA" kar jaye....

Khushiyon se naraz hai meri zindagi,


Khushiyon se naraz hai meri zindagi,
pyar ki mohtaj hai meri zindagi,
hans lata hoon logo ko dikhane keliye,
varna dard ki kitab hai meri zindagi..?

Khayalo ko kisi ahat ki aas rehti hai..

Khayalo ko kisi ahat ki aas rehti hai..
nigaho ko teri talash rehti hai
tere bina koi kami nai laikin...
tery bagair tbyet udas rehti hai...

Hamara dard kisne dekha hai,!!!


Hamara dard kisne dekha hai,
hamain to bus khuda ne hi tarapte dekha hai,
tanhai mai beth kar rote hain,
ye or baat hai k mehfil mai sabne hamain hansta dekha hai.

Tum or isq!!


Wo ishq jo ham krtay thy wo ishq to zinda aaj bi ha,
kal tak jo hijr satata tha os hijr ka sayya aj bi hai,
tum dorr huway majburi main hum toot gay iss dore main,
kabi waqt millay to a jana khola dil ka darwaza aj bi hai.

Dosti!!!



Hasti ko dosti men fana kon karay ga,
Ye farz zamane men adda kon karay ga, 
Haathun ki lakeerun ko zara dekh najumi, 
Ye dekh meray sath wafa kon karay ga.

Mahfil

Ahsh!!1

karz!!


Isi KARZ Ko Ada KRnay k Wastay Hum SaaRi Raat So Nahi Patay

Ke Shayad Is Duniya Mein Hamare Liye B Koi Jagh Rha Hoga...???

Maikhaana!!

Fasl-e-gul hai sajaa hai maikhaana,
Chal mere dil khulaa hai maikhaana,
Shaam ke waqt baithne ke liyeh
Sub se achi jagah hai maikhaana,
Khat hai shayad kisi sharabi ka
Khat ke ooper likha hai maikhaana,
Kiss tarah chor doon isay waaiz
Mushkilon se mila hai maikhaana,
Zindagi jab guzaarni hai kaheen
Yaar phir kya bura hai maikhaana,
Jab se wo aankh khafa hum se
Yoon lagay hai khafa hai maikhaana..........

Haqiqat jaan kr aisi himaqat kon karta hai?

Haqiqat jaan kr aisi himaqat kon karta hai?
Bhala be faiz logon se mohabbat kon karta hai?
Batao jis tijarat main khasara he khasara ho!
Bina sochay khasaray ke tijarat kon karta hai?
Hamain he ghalat fehmi thi kisi k wastay warna!
Zamanay k rewajon se baghawat kon karta hai?
Khuda ne sabar karnay ki mujhay tofeeq bakhshi hai!
Ary g bhar k tarpao shikayat kon karta hai?
Kisi k dill k zakhmon pr marham rakhna zarori hai!

Es dour main “Mohsin” yeah zehmat kon karta hai?

Ishq!!

Kia Zaroori Hai Ke Hum Haar Ke Jeetien Tabish

Ishq Ka Khel Baraber Bhi To Ho Sakta Hai,,,

Tum!!


Tum haqeeqat ho ya faraib meri Aankhon ka...

Na dil se nikalte ho na zindagi main aate ho...

Suno Larki...

Suno Larki...

Kisi ko TumneY chaaha tha

w0h tumhain mil nahi paYa

Kisi ko MaineY chaaha tha

w0h MujheY mil nahi paYi

Adhuri Tum bhi ho ab tak

Adhura main bhi h0n ab tak

AdhureY pann ki tanhaaYi tumhain bhi
dasti rehti heY

AdhureY pann ki tanhaaYi MujheY bhi
dasti rehti heY

AdhureY pann seY tum bhi ab nikalna
chahti h0na..

AdhureY pann seY Main bhi ab nikalna chahta h0n bus

TumhareY aur merey,,

Sab masaaYiL aik jeseY hain

Sabhi Gham aik jeseY hain

Sabhi Dukh aik jeseY hain

Suno Larki....

Chalo ik kaam kerteY hain

MujheY tum wesa hi chaaho

keh jesa usko chaaha tha

Tumhain main wesa hi chaah0n

keh jesa usko chaaha tha

Chalo aao ... Mil jul ker naYa ik Ghar basateY hain

Mohabbat keY diYe ko phir

M0habbat seY jalateY hain..

Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par ~(I Miss U)

Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par ~
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha ~

Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr ~
Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha ~

Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr ~
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Tha ~

Tanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne Saath Diya ~
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha ~

Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi ~
Main Samjha Mujhe Tum Chorr Gaye, Andaz Tumhare Jesa Th

Kbi Thak K So Gae Ham!!1

Kbi Thak K So Gae Ham
Kbi Raat Bhar Na Soe,
Kbi Hans K Gham Chupaya
Kbi Moon Chupa K Roe"

"Meri
Dastan-e-Hasrat
Wo Suna Suna K Roe,
Mere Aazmane Wale Muje Aazma K Roe"

"Shab-e-Gham Ki Aap Beeti
Jo Sunai Anjuman Mein,
Koi Sun K Muskurae
Koi Muskura K Roe"

"Main Hoon
Be-Watan Musafir
Mera Naam Be-Wafa Hai,
Mera Koi bhi Nhi Hai
Jo Galay Laga K Roe"

"Mere Paas Se Guzar Kr
Mera Haal Tak Na Poocha,
Main Ye Kaise Maan Jaun
K Wo Door Ja K Roe"

"Wo Mile Jo Raaste Mein
To Bas Itna Kehna Us Se,
Main Udaas Hoon Akela
Mere Paas Aa K Roe.**

Tumhare Sath Hoon Main To,!! (♥for some special♥)

Haatho'n Ki Lakeero'n Pe,??
Guftagoo Jab Chal Nikali ..
??
Tab Udaas Lehje Mein,
Main NeUs Se Kaha ..??
??
Nazar Mujh Ko Nahin Aata,
Tumhara Naam Bilkul Bhi ..??
In Uljhi Lakeero'n Mein ..
??
Tab Palat kar Wo Bole,
Lakeerein Jhoot Hoti Hein ..??

Tumhare Sath Hoon Main To,
Tumhare Paas Hoon Main To ..
??
Zaroori To Nahin Hota ,
Muqaddar Ho Lakeero'n Mein ..??

Ye Be'wafa Lakeerein Hein,
Lakeerein Bas lakeerein Hein.
??
Aitebaar Mat Karna,
Be'wafa Lakeero'n Pe ..??
??
Magar Wo Jhoot Kehte TheY,
Nateeja Ye Ke Us Ka Saath,
Nahin Raha BaaQi ..??

Lekin ...??

Lakeerein Ab Bhi BaaQi Hein,
Lakeerein Ab Bhi BaaQi Hein _____!!??

Na Jane Sabr Ka Dhaga,

Zara Pane Ki Chahat Main,
Boht Kuch Choot Jata Hai,


Na Jane Sabr Ka Dhaga,
Kahan Par Toot Jata Hai,


Kise Hamrah Kehte Ho,
Yahan To Apna Saya Bhi


Kahin Par Saath Rehta Hai,
Kahin Par Choot Jata Hai,


Ajab Shay Hai Ye Rishta Bhi
Bahut Mazboot Lagta Hai,


Zara Si Bhool Se Lekn,
Bharosa Toot Jata Ha...

ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

ZEENA ZEENA DIL MAIN UTRA HAI..

JAISA MAIN NE SOCHA THA..

WAISA ROOP USKA HA..

JAZBA MERA, USKA HA..

TARZ-E-SUKHAN BHI MUJH SA HA..

SEHRAMEIN BONDH KI MANIND..

PYAR USKA BARASTA HAI...

MAIN NE DEKHA HA DIL USKA...

BILKUL DEWANO K JAISA HAI..

US KI SHOKH ANKHON MEIN..

DOBE SARE JAZBON PE..

HAQ, AB SIRF MERA HAI...

YE BHEEGTA, BARASTA MAUSAM..

DIL USKA BHI TARAPTA HA...

GAWAH HA HIJAR KA MAUSAM...

MILAN ABHI APNA ADHORA HA...!

Sab bhool chuka ho!!

Dunia Se Mujhe Pyar Tha , Sab Bhool Chuka Hun,
Ek Shakhs Mera Yaar Tha ,Sab Bhool Chuka Hun..! 
Bakhshi Hai Mujhe Pyar K Badle Mein Judai,
Jo B Tera Kirdar Tha Sab Bhool Chuka Hun..!
Bas Itna Mujhe Yaad Hai Ik Wasal Ki Shab Thi,
Iqrar Tha, Inkar Tha, Sab Bhool Chuka Hun..!
Haan Meri Khata Thi K Tujhe Toot K Chaha,
Han Main Hi Gunehgar Tha Sb Bhool Chuka Hun..!
Ek Shakhs Ne Pagal Sa Bana Rakha hai MOHSIN
Main Kitna Samjh Daar Tha, Sb Bhool Chuka hun..!

Rukhsat huwa to bat meri man kar gaya,


Rukhsat huwa to bat meri man kar gaya,

Jo us k pas tha wo mujy dan kar gaya,

Bichra kuch is aada se k rut hi badal gayi,

Ik shaks sary shehar ko viran kar gaya,

Dil chasp waqiya hai k kal ik aziz dost,

Apny mafad par mujhy qurban kar gaya,

Khalid me baat baat pe kehta tha jis ko jan,

Wo shaks akhir mujhy bejan kar gaya,

Apni tanhaye mere naam pe abad kare,

Apni tanhaye mere naam pe abad kare,
Kon hoga jo mujhe uski tarha yaad kare,
Dil ajab shahar k jis pr b kula dar is ka,
Wo musafar isy her simat se barbad kare,
Apne qatil ki zahanat se pareshan hon me,
Roz ek mout naye tarz ki ijad kare,
Itna hairan hon meri hai talbi ke agy,
Waqapas me koi dar khud mera siyad kare,
Salab binaye ke ahkam mily hian jo kabi,
Roshnaye chuhne ki khwahish koi shabzad kare,
Soch krna b jurm me hai shamil ab to,
Wohy masom hai her baat pe jo saad kare,
jab laho bol para is ki gawahy ke khilaf,
Qazi-e-shahar kuch is baat me irshad kare,
Iski mehty me bhot roz raha mera wajod,
Mere sahir se kaho ab mujhe azad kare.

Bicharr Kar Tujh se Zinda Hoon Meri Taqdeer To Dekho,

Bicharr Kar Tujh se Zinda Hoon Meri Taqdeer To Dekho,
Kabhi Aa Kar Mere Halaat ki Tasveer To Dekho.
Mujhe Mehfil Mein Dekha To Kaha Us ne Raqeebon Se,
Mera Aashiq Mera Pagal Mera Dilgeer To Dekho.
Teri Tasveer k Peeche Hi Jaalay Be-Wafai k,
Ulat kar Tum Zara Apni Kabhi Tasveer To Dekho.
De Kar Piyaar ki Daulat Khareedy Khoon k Aansoo,
Mili Jo Ishq Mein Hum ko Zara Jageer To Dekho.
Likha Hai Naam Mera Sharaarat Hai Raqeebon ki,
Ye Khatt Mera Nahi JAANA Zara Tehreer To Dekho

Mohabbat Rog Hoti Hai!!

Mohabbat Rog Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai
Kaha Bhi Tha,
Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai
Kaha Bhi Tha,
Ise TuM Dilki Dharti Ka
Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai
Kaha Bhi Tha,
Mohabbat Mein Khushi Ke
Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai
Kaha Bhi Tha,
Loota Kar Dilko,
Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai
Kaha Bhi Tha,
Shuro Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai
Kaha Bhi Tha,
Ye Sar Se Paaon Tak
Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai
Kaha Bhi Tha..

dard!!


Zahir me to hamdard hi atey hain nazar log,
Zakhmon ko merey cherney atey hain magar log..

bichry hoye gaam


Bichri hui rahoon say jo guzray hum kabhi,
Har gaam par khoyee hui ek yaad mili hai..

Tijarat


Bohat mushkil se hoti hai tijaarat yaadon ki,

Munaafa kam sahi, guzaara ho hi jaata hai..

pheliya!!


Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein,

Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..

Jise khud se hi nahin furstain,!!!!


Jise khud se hi nahin furstain,
Jise khayal apne kamaal ka,
Usey kya khabar mere shoq ki,
Usey kya pata mere haal ka.

Tum Sath Ager Hoty To Yeh Shaher Haseen Lagta


Tum Sath Ager Hoty To Yeh Shaher Haseen Lagta
Ab Sham Nahi Dhalti.Ab Dil Nahi Lagta

LiOn____KinG

Us k ik ik lamhy ki hifazat krna ay mery khuda

Us k ik ik lamhy ki hifazat krna ay mery khuda

Masoom sa chehra hai, udas ho to acha nahi lagta

LiOn____KinG 

Us k ik ik lamhy ki hifazat krna ay mery khuda

Us k ik ik lamhy ki hifazat krna ay mery khuda

Masoom sa chehra hai, udas ho to acha nahi lagta

LiOn____KinG 

SAr E RAh KhaMOsh SAth ChalNAy SAy Kuch NAhin Hota

SAr E RAh KhaMOsh SAth ChalNAy SAy Kuch NAhin Hota

BAat Aksar BAna KArti HAi BAat KO BAyan Sirf KArnay SAy

LiOn_____KinG

Umar Ka Kya Hai Wo To Kat Hi Jaye gi

Umar Ka Kya Hai Wo To Kat Hi Jaye gi

Bas Jo Nahi Kat'ta Wo Waqt Hai Mera..

LiOn_____KinG

Mujhe khud Garz kehte hO

Mujhe khud Garz kehte hO
Tou bilkul theek kehte ho

K jis ki Garz hi Tum hO
Usy kuch orr kya chahye

LiOn_____KinG

Tere Na Hone Se Meri Zindgi Me Sirf itni c kami Rehti Hai

Tere Na Hone Se Meri Zindgi Me Sirf itni c kami Rehti Hai

Mae Agr Muskura b Lu tou Ankho Me Nami Rehti Hai

Kbhi Na Kbhi Wo Mere Bary me Soche Ga Zaroor

Kbhi Na Kbhi Wo Mere Bary me Soche Ga Zaroor

K Hasil Hone ki Umeed b Na Thi Phir B Pyar krti Thi

LiOn_____KinG

Fursat Milay Kbhi tou Parhna Mujhe Zaroor

Fursat Milay Kbhi tou Parhna Mujhe Zaroor

Nakaam Zindgi pe Mukamal Kitab Hu

LiOn_____KinG

Nazr_e_Bad se Bachna hai to Kahi Aur ChaLe Jaa,

Nazr_e_Bad se Bachna hai to Kahi Aur ChaLe Jaa,

Mai Tujhy Daikhta hun To Palkhein Jhapkti hi Nahi

LiOn_____KinG

Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal.

Mujh Ko Hain Kaam Aur Bhi, Kuch To Karo Mera Khayal.

Aatay Ho Jab Khayal Main Phir Jatay Nahi Ho Khayal Se

LiOn____KinG
 

Sample text

Sample Text

Owner

___JaSoS___
skype: zia.chand2