Rukhsat huwa to bat meri man kar gaya,
Jo us k pas tha wo mujy dan kar gaya,
Bichra kuch is aada se k rut hi badal gayi,
Ik shaks sary shehar ko viran kar gaya,
Dil chasp waqiya hai k kal ik aziz dost,
Apny mafad par mujhy qurban kar gaya,
Khalid me baat baat pe kehta tha jis ko jan,
Wo shaks akhir mujhy bejan kar gaya,
No comments:
Post a Comment