Ads 468x60px

Featured Posts

Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….
Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….
Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..
Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “FARAZ”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain
Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah
Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah
Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki
Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah
Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin
Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah
Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay
Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah
Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ?
Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain

Raatain Hain Udaas, Din Karry hain
Ay Dil Tere Honslay Baray Hain
Ay Yaad-e-Habib Sath Daina
Kuch Marhalay Sakht Aa Paray hain
Rukna Ho Agar Tou So Bahaanay
Jaana Ho Tou Rastay Baray Hain
Ab Kaisay Btayen Waja-e-Girya
Jab Aap Bhi Saath Ro Pary Hain
Ab Jaanay Kahan Naseeb Lay Jaye
Ghar Se Tou “FARAZ” Nikal Paray Hain
 

Sample text

Sample Text

Owner

___JaSoS___
skype: zia.chand2